jalī haiñ dard kī sham.eñ magar añdherā hai
kahāñ ho kuchh to kaho dil bahut akelā hai
ye kaisā zahr fazāoñ meñ bhar gayā yaaro
har ek aadmī kyuuñ is qadar akelā hai
mire nasīb meñ kab hai ye raushnī kā nagar
mare liye to yahāñ har taraf añdherā hai
jalā.e rakhnā diye pyaar ke maiñ ā.ūñgā
mujhe tumhārī vafā par baḌā bharosa hai
chamak uThe mirī palkoñ pe yaad ke jugnū
ye kis ne pyaar se phir aaj mujh ko dekhā hai
kahāñ kahāñ maiñ use DhūñDhtā rahā 'fārūq'
jo merī ruuh kī gahrā.iyoñ meñ rahtā hai