kaise in sachche jazboñ kī ab us tak tafhīm karūñ
rūThne vaalā ghar aa.e to lafzoñ meñ tarmīm karūñ
mujh se bichhaḌ kar jaane vaale itnā to samjhātā jā
apne aap ko do hissoñ meñ kaise maiñ taqsīm karūñ
ahl-e-siyāsat baañT rahe haiñ jaan se pyāre logoñ ko
maiñ shā.ir huuñ sach kahtā huuñ kyuuñ un kī tāzīm karūñ
vo bhī zamāna-sāz huā hai tum bhī Thiik hī kahte ho
merī bhī majbūrī samjho kis dil se taslīm karūñ
tujh se bichhaḌnā qismat meñ thā jiinā to majbūrī hai
soch rahā huuñ ujḌe ghar kī phir se na.ī tāzīm karūñ
koshish to kī laakh magar kuchh baat nahīñ bantī 'fārūq'
soch rahā huuñ saarā manzar lafzoñ meñ tajsīm karūñ