tamām shahr meñ us jaisā ḳhasta-hāl na thā
magar vo shaḳhs ki phir bhī koī malāl na thā
ye aur baat maiñ apnī anā meñ qaid rahā
vagarna us kā pighalnā to kuchh muhāl na thā
bichhaḌ gayā hai to ye kah ke dil ko bahlāūñ
vajūd us kā mire haq meñ nek-fāl na thā
samajh rahā thā muhāfiz jise maiñ barsoñ se
mujhī ko qatl karegā ye ehtimāl na thā
simaT ga.ī hai sabhī ke ḳhulūs kī chādar
ye jazba pahle to is darja pā.emāl na thā
ḳhamosh sunte rahe sab amīr-e-shahr kā hukm
kisī ke lab pe koī harf-e-ishti.āl na thā