bichhaḌnā mujh se to ḳhvāboñ meñ silsila rakhnā
dayār-e-zehn meñ dil kā diyā jalā rakhnā
palaT ke ā.eñge mausam to tum ko likkhūñgā
kitāb-e-dil kā varaq tum zarā khulā rakhnā
maiñ chāhtā huuñ vo āñkheñ jo roz miltī haiñ
kabhī to mujh se kahīñ ham pe aasrā rakhnā
badan kī aag se jhulse na jism rūhoñ kā
qarīb aa ke bhī tum mujh se fāsla rakhnā
udaas lamhoñ ke mausam guzar hī jā.eñge
kisī kī baat kā ab dil meñ kyā gila rakhnā
jo chal paḌe ho mare saath taptī rāhoñ par
kahīñ utaar ke phūloñ kī ye qabā rakhnā