ik pal kahīñ ruke the safar yaad aa gayā
phūloñ ko hañstā dekh ke ghar yaad aa gayā
titlī ke saath aa.ī tirī yaad bhī hameñ
rakkhā huā kitāb meñ par yaad aa gayā
baiThe the jis kī chhāñv meñ ham donoñ muddatoñ
kyā jaane aaj kyuuñ vo shajar yaad aa gayā
sarhad se koī aayā hai phir ḳhuun māñgne
ik maañ ko apnā laḳht-e-jigar yaad aa gayā
pheñkā thā maiñ ne tanz kā patthar kisī kī samt
'ġhālib' kī tarah apnā hī sar yaad aa gayā