haq-parastī ke sazā-vār huā karte the
ham kabhī sāhab-e-kirdār huā karte the
koī maz.hab ho koī rañg ho mil baiThte the
des meñ aise bhī tehvār huā karte the
pās-e-tahzīb thā ik vo bhī zamāna thā kabhī
mere dushman bhī mire yaar huā karte the
is tarah thak ke to baiThā nahīñ karte the ham
rāste pahle bhī dushvār huā karte the
ab to sūkhe hue pattoñ kā bharam rakhte haiñ
ham kabhī shāḳh-e-samar-dār huā karte the
pagḌiyāñ qadmoñ meñ rakhne kā hunar siikh ga.e
ham vahī haiñ jo sar-e-dār huā karte the