apnī kah lī hai to ab merī kahānī bhī to sun
tū ne auroñ se sunī merī zabānī bhī to sun
nit-na.e rañg badalte hue lamhoñ se nikal
zindagī kyā hai ye mausam kī zabānī bhī to sun
lafz to jaan liye un ke ma.ānī bhī samajh
vo jo kahte the baḌe baat purānī bhī to sun
shab-e-tārīk meñ tū ghar se nikal kar kabhī dekh
tujh se kyā kahtī hai dariyā kī ravānī bhī to sun
apnī duniyā ke hunar to tujhe sab aate haiñ
Duubī jaatī haiñ jo āvāzeñ purānī bhī to sun