isī liye to takallum kā silsila nahīñ thā
vo merā ban to gayā thā mirā huā nahīñ thā
tamām-umr sharīk-e-safar rahā vahī shaḳhs
qadam milā ke kabhī saath jo chalā nahīñ thā
maiñ dūsroñ kī hañsī to bahut uḌātā thā
ḳhud apne-āp pe lekin kabhī hañsā nahīñ thā
maiñ kaise kah duuñ ki vo shaḳhs mar gayā hai aaj
vo shaḳhs saañs to letā thā par jiyā nahīñ thā
kisī kī baat karūñ us kā zikr chhiḌ jaa.e
vo duur rah ke bhī mujh se kabhī judā nahīñ thā
mire ḳhudā tujhe ilzām de nahīñ saktā
ki sach to ye hai mirā tujh pe aasrā nahīñ thā