Tashi Zaheer

is jahan mein bhi kahin apna sahaara koi hai

Tashi Zaheer

Lahore, Punjab, Pakistan

1947
is jahāñ meñ bhī kahīñ apnā sahārā koī hai
āsmānoñ meñ bhī lagtā hai hamārā koī hai
yuuñ to kahne ko sabhī se haiñ marāsim apne
maan leñ kaise ki in sab meñ hamārā koī hai
shauq se jaan pe sah leñ jo hameñ ho ma.alūm
faisla hai ye ab us kā ki ishārā koī hai
kaaT letā hai shab-o-roz to vo bhī āḳhir
jis kī manzil hai na rasta na sitāra koī hai
ai shab-e-hijr satātī hai hameñ kyuuñ nāhaq
ham rahe us ke na ab vo hī hamārā koī hai
Top Urdushayar.com