ghar kabhī thā vo hamārā bhī jidhar ke ham haiñ
kyā batā.eñ tumheñ kis chāñd-nagar ke ham haiñ
hadd-e-fāsil nahīñ khiñchtī hai diloñ ke mābain
jis meñ yādeñ haiñ hamārī usī ghar ke ham haiñ
maañ kī āġhosh kī mānind hoñ shāḳheñ jis kī
vo kisī des kā ho aise shajar ke ham haiñ
pyaar se baḌh ke bhalā aur koī kyā degā
ye jahāñ se bhī mile bas usī dar ke ham haiñ
ik tabī.at ki nahīñ miltī zamāne-bhar se
jaane kis des ke haiñ kaun Dagar ke ham haiñ
Daal de paañv meñ zanjīr hī ab to maulā
aur hijrat kā na dam hai na safar ke ham haiñ