khulā ye raaz ki ye zindagī bhī hotī hai
bichhaḌ ke tujh se hameñ ab ḳhushī bhī hotī hai
vo phone kar ke mirā haal pūchh letā hai
namak-harāmoñ kī category bhī hotī hai
mizāj pūchhne vaale mazā bhī lete haiñ
kabhī jo dard meñ thoḌī kamī bhī hotī hai
yahī to kholtī hai dushmanī kā darvāza
ḳharāb chiiz miyāñ dostī bhī hotī hai
tum apne qadmoñ kī raftār par bahut ḳhush ho
ye rail-gāḌī kahīñ par khaḌī bhī hotī hai