zarā sī choT lagī thī ki chalnā bhuul ga.e
sharīf log the ghar se nikalnā bhuul ga.e
tirī umiid pe shāyad na ab khare utreñ
ham itnī baar bujhe haiñ ki jalnā bhuul ga.e
tumheñ to ilm thā bastī ke log kaise haiñ
tum is ke ba.ad bhī kapḌe badalnā bhuul ga.e
hameñ to chāñd sitāroñ ko rusvā karnā thā
so jān-būjh ke ik roz Dhalnā bhuul ga.e
'hasīb'-soz jo rassī ke pul pe chalte the
paḌā vo vaqt ki saḌkoñ pe chalnā bhuul ga.e