ab use chhoḌ ke jaanā bhī nahīñ chāhte ham
aur ghar itnā purānā bhī nahīñ chāhte ham
sar bhī mahfūz isī meñ hai hamārā lekin
kyā kareñ sar ko jhukānā bhī nahīñ chāhte ham
apnī ġhairat ke liye fāqa-kashī bhī manzūr
terī shartoñ pe ḳhazāna bhī nahīñ chāhte ham
haath aur paañv kisī ke hoñ kisī kā sar ho
is tarah qad ko baḌhānā bhī nahīñ chāhte ham
āñkheñ jab dī haiñ nazāre bhī atā kar yā-rab
ek kamre meñ zamāna bhī nahīñ chāhte ham