nazar na aa.e ham ahl-e-nazar ke hote hue
azāb-e-ḳhānā-ba-doshī hai ghar ke hote hue
ye kaun mujh ko kināre pe lā ke chhoḌ gayā
bhañvar se bach gayā kaise bhañvar ke hote hue
ye intiqām hai yā ehtijāj hai kyā hai
ye log dhuup meñ kyuuñ haiñ shajar ke hote hue
tū is zamīn pe do-gaz hameñ jagah de de
udhar na jā.eñge hargiz idhar ke hote hue
ye bad-nasībī nahīñ hai to aur phir kyā hai
safar akele kiyā ham-safar ke hote hue