Haseeb Soz

dard aasani se kab pahlu badal kar nikla

Haseeb Soz

dard āsānī se kab pahlū badal kar niklā
aañkh kā tinkā bahut aañkh masal kar niklā
tere mehmāñ ke svāgat kā koī phuul the ham
jo bhī niklā hameñ pairoñ se kuchal kar niklā
shahr kī āñkheñ badalnā to mire bas meñ na thā
ye kiyā maiñ ne ki maiñ bhes badal kar niklā
mere raste ke masā.il the nokīle itne
mere dushman bhī mire pairoñ se chal kar niklā
Dagmagāne na diye paañv ravā-dārī ne
maiñ sharābī thā magar roz sambhal kar niklā
Top Urdushayar.com