Aradhana Prasad

aaj ki tariKH mein insan mukammal kaun hai

Aradhana Prasad

aaj kī tārīḳh meñ insāñ mukammal kaun hai
ye pata kaise chale ki kis kā maqtal kaun hai
paas hī rahtā vo har dam sehr ho yā ho nashā
ḳhushbū jaisā hai havāoñ meñ musalsal kaun hai
sādgī kī apsarā vo yā hai koī sāhirī
hai ġhazal yā hai vo sandal shoḳh chanchal kaun hai
us chhalakte se samundar meñ nasha hai aaj tak
jhuum kar barsā hai pāgal uf ye bādal kaun hai
bhaa.ī bhaa.ī laḌ rahe haiñ is siyāsī khel meñ
saaf likkhā hai ye qurāñ meñ ki afzal kaun hai
be-ḳhabar haiñ panchhī nadiyāñ sarhadoñ kī rok se
be-sabab hī mulk meñ kartā ye dañggal kaun hai
jugnuoñ ko jalte dekhā to samajh aayā mujhe
kaisā sannāTā hai jañgal kartā mañgal kaun hai
Top Urdushayar.com