Aradhana Prasad

kisi parinde ne uDne ka man banaya hai

Aradhana Prasad

kisī parinde ne uḌne kā man banāyā hai
vo koī aur nahīñ merā hī to saaya hai
zamīñ kī muTThī meñ jaise ho āsmān koī
ġhazab kā reshmī ehsās koī laayā hai
guloñ meñ shoḳh gulābī tumhīñ ne rañg bhare
chale bhī aao ke gulshan ne ab bulāyā hai
ye merā gaañv har ik roz yuuñ damakne lagā
ke jugnuoñ ne yahāñ āshiyāñ banāyā hai
na.e se ḳhvāb churā luuñ hasīn lamhoñ se
yuuñ shabnamī sī kisī raat ne sulāyā hai
bharā bharā sā hī rahtā hai ye mirā man ab
mizāj vaqt ne tujh se ye ḳhuub paaya hai
milo kabhī bhī jo fursat meñ to ye pūchheñge
yuuñ mere chāñd ko mujh se hī kyuuñ churāyā hai
Top Urdushayar.com