bāvre man kī bāvrī ḳhushbū
gītoñ ġhazloñ sī mohnī ḳhushbū
mausam-e-ishq kā payām liye
āsmānī sī āshiqī ḳhushbū
yā ḳhudā kyā hai sāhirī tauba
ḳhud hī bhar-bhar ke lauTtī ḳhushbū
gahrī gahrī sī jhāñktī andar
man samundar ko nāptī ḳhushbū
kaalī rātoñ meñ jaane ġham kyuuñ hai
luktī chhuptī sī sāñvarī ḳhushbū
ban ke alfāz har sū raushan hai
'mīr' kī jaise shā.erī ḳhushbū
le ke jazbāt apne hoñToñ pe
rah ga.ī chup sī boltī ḳhushbū