ajiib dukh hai laboñ par gilā koī bhī na thā
bichhaḌte vaqt kisī se ḳhafā koī bhī na thā
har ek shaḳhs ko sachche hurūf azbar the
kisī ke paas magar mo.ajiza koī bhī na thā
ba-nām-e-husn sabhī guftugū kamāl kī thī
ye aur baat sar-e-ā.ina koī bhī na thā
azāb-e-zehn thī ik mehr āb-o-dāne par
tire nagar meñ ḳhushī se rahā koī bhī na thā
pas-e-zamīr adālat sabhī ko hāsil thī
magar ba-vaqt-e-zarūrat kharā koī bhī na thā