Qamar Raza Shahzad

kisi ishq-o-rizq ke jal mein nahin aaega

Qamar Raza Shahzad

Pakistan

1958
kisī ishq-o-rizq ke jaal meñ nahīñ aa.egā
ye faqīr ab tirī chaal meñ nahīñ aa.egā
maiñ manā to lūñgā use magar vo anā-parast
mirī samt ab kisī haal meñ nahīñ aa.egā
maiñ kahūñgā harf-e-talab kuchh aise kamāl se
mirā dard mere savāl meñ nahīñ aa.egā
kabhī apnī ek jhalak mujhe bhī navāz de
koī farq tere jamāl meñ nahīñ aa.egā
yahī mehnatoñ kā sila rahā to phir ai ḳhudā
mujhe lutf-e-rizq-e-halāl nahīñ aa.egā
Top Urdushayar.com