jo zindagī ke har ek dhāre meñ jāgtā hai
tirā badan is charāġh-pāre meñ jāgtā hai
gurez kaise karegā mere vajūd se tū
ki terā sūraj mire sitāre meñ jāgtā hai
mujhe ḳhabar hai ḳhamosh soyā huā ye dariyā
kahīñ kisī dūsre kināre meñ jāgtā hai
bahut kaThin to nahīñ hai sach ko talāsh karnā
ki ye lahū ke har isti.āre meñ jāgtā hai
vo shaḳhs yuuñ hī nahīñ mire saath chalne vaalā
kahīñ koī fā.eda ḳhasāre meñ jāgtā hai