na.ī zamīn nayā āsmāñ banānā hai
tire makān se behtar makāñ banānā hai
jo baat sach hai nahīñ kholnī zamāne par
taḳhaiyyulāt ko husn-e-bayāñ banānā hai
havā se terī himāyat meñ guftugū ke ba.ad
diye kī lau ko tirā pāsbāñ banānā hai
talāsh karne haiñ kuchh apne jaise log mujhe
aur ek halqa-e-āvārgāñ banānā hai
sipurd kar ke kisī ko makān-e-dil 'shahzād'
ḳhud apne-āp ko be-ḳhānumāñ banānā hai