Qamar Raza Shahzad

maine bhi tohmat-e-takfir uThai hui hai

Qamar Raza Shahzad

Pakistan

1958
maiñ ne bhī tohmat-e-takfīr uThā.ī huī hai
ek nekī mire hisse meñ bhī aa.ī huī hai
mire kāñdhoñ pe dharā hai koī haarā huā ishq
yahī gaThḌī hai jo muddat se uThā.ī huī hai
tum to aa.e ho abhī dasht-e-mohabbat kī taraf
maiñ ne ye ḳhaak bahut pahle uḌaa.ī huī hai
TuuT jā.ūñgā agar mujh ko banāyā bhī gayā
koī shai aisī mirī jaañ meñ samā.ī huī hai
sard-mehrī ke ilāqe meñ huuñ masrūf-e-duā
zinda rahne ke liye aag jalā.ī huī hai
qissa-go ab tirī chaupāl se maiñ jaatā huuñ
raat bhī bhiig chukī niiñd bhī aa.ī huī hai
Top Urdushayar.com