na apne-āp ko is tarah dar-ba-dar rakhte
palaT ke aate agar ham bhī koī ghar rakhte
ajiib vahshat-e-shab thī ki shaam Dhalte hī
tamām log muñDeroñ par apne sar rakhte
jo apnī fat.h ke nashshe meñ chuur the vo bhalā
sulagte shahar ke manzar pe kyā nazar rakhte
ye aur baat ki sarsabz the bahut lekin
ham aise peḌ na ban paa.e jo samar rakhte
jinheñ havā kī rifāqat aziiz thī 'shahzād'
vo apne paañv bhalā kyā zamīn par rakhte