ham ne har ġham dil-e-sad-chāk se bāhar rakkhā
aag ko pairahan-e-ḳhāk se bāhar rakkhā
zeb-e-tan ham ne bhī kar rakkhī ye duniyā lekin
tere har rañg ko poshāk se bāhar rakkhā
ḳhvāb-dar-ḳhvāb tujhe DhūñDne vāloñ ne bhī ab
niiñd ko dīda-e-namnāk se bāhar rakkhā
ik tarah dhyān hī aisā ki jise ham ne yahāñ
naf.a nuqsān ke pechāk se bāhar rakkhā
ujrat-e-ishq bahut kam thī sau ham ne 'shahzād'
dil ko is tangī-e-aflāk se bāhar rakkhā