kisī se va.ada-o-paimān bhī nahīñ merā
yahāñ se lauTnā āsān bhī nahīñ merā
maiñ laḳht laḳht huā āsmāñ se laḌte hue
magar ye ḳhaak pe ehsān bhī nahīñ merā
maiñ sirf apnī hirāsat meñ din guzārtā huuñ
mire sivā koī zindān bhī nahīñ merā
sukūt-e-shab meñ tirī chashm-e-nīm-vā ke sivā
koī charāġh nigahbān bhī nahīñ merā
dharī huī koī ummīd bhī nahīñ mire paas
khulā huā dar-e-imkān bhī nahīñ merā
ye kis ke bojh ne mujh ko thakā diyā ki yahāñ
ba-juz-duā koī sāmān bhī nahīñ merā
maiñ us kī ruuh meñ utrā huā huuñ aur 'shahzād'
kamāl ye hai use dhyān bhī nahīñ merā