tujh se bichhḌūñgā tire dhyān meñ rah jā.ūñgā
maiñ rihā ho ke bhī zindān meñ rah jā.ūñgā
vo guzar jā.egā sau rāste kar ke lekin
maiñ kahīñ va.ada-o-paimān meñ rah jā.ūñgā
bāñjh peḌoñ ko na kāTegā koī dast-e-ajal
maiñ ki phaldār huuñ nuqsān meñ rah jā.ūñgā
ek lamha vo pazīrā.ī karegā aur maiñ
umr-bhar sāya-e-ehsān meñ rah jā.ūñgā
aag ke phuul to bujh jā.eñge lekin 'shahzād'
maiñ sulagtā huā gul-dān meñ rah jā.ūñgā