tire āsmāñ se azaab kyuuñ nahīñ TūTtā
mirī niiñd aur mirā ḳhvāb kyuuñ nahīñ TūTtā
tirā zikr kartā huuñ sub.h-o-shām namāz meñ
ye tilism-e-ajr-o-savāb kyuuñ nahīñ TūTtā
mire ḳhadd-o-ḳhāl bikharte kyuuñ nahīñ raah meñ
tire ā.īne kā sarāb kyuuñ nahīñ TūTtā
tire lafz lafz kī muntazir haiñ samā.ateñ
lab-e-husn terā hijāb kyuuñ nahīñ TūTtā
kaḌe mausamoñ kā hadaf huuñ maiñ to 'qamar-razā'
mirī shāḳh par se gulāb kyuuñ nahīñ TūTtā