koī charāġh atā kar koī gulāb utaar
vagarna shahr-e-sitam par vahī azaab utaar
zamīn-e-shahr ko is darja munjamid kar de
har ek chīḳh uThe sar pe āftāb utaar
hameñ barahna kiyā tū ne har zamāne meñ
zamīñ pe tū bhī kabhī ḳhud ko be-hijāb utaar
har ek haath meñ yā kāsa-e-gadā.ī de
vagarna sab ke liye rizq be-hisāb utaar
maiñ tere nuur kā munkir nahīñ falak vaale
magar zamīñ pe kabhī apnā māhtāb utaar