Qamar Raza Shahzad

hairat hai ki jo zulm se taqdir banaen

Qamar Raza Shahzad

Pakistan

1958
hairat hai ki jo zulm se taqdīr banā.eñ
kuchh log unheñ sāhab-e-tauqīr banā.eñ
ik ḳhvāb meñ rakheñ koī guzrā huā lamha
ik ḳhvāb se ā.inda kī ta.abīr banā.eñ
patthar pe kareñ naqsh tire hijr kā qissa
paanī pe tire vasl kī tasvīr banā.eñ
shāyad kisī zindān se nikle nahīñ ab tak
ye log jo kāġhaz pe bhī zanjīr banā.eñ
ik baar agar bāb-e-suḳhan ham pe bhī khul jaa.e
us shaḳhs ko bhī mo'taqid-e-'mīr' banā.eñ
Top Urdushayar.com