Qamar Raza Shahzad

sabhi kuchh KHak mein tahlil hota ja raha hai

Qamar Raza Shahzad

Pakistan

1958
sabhī kuchh ḳhaak meñ tahlīl hotā jā rahā hai
chalo ye shahr bhī tabdīl hotā jā rahā hai
kisī kī guftugū meñ ek vo mafhūm hai jo
haqā.eq se alag tarsīl hotā jā rahā hai
maiñ kaise tark kar duuñ ab ki ye kār-e-mohabbat
kisī ke hukm kī ta.amīl hotā jā rahā hai
maiñ kyā tartīb denā chāhtā huuñ aur mujh se
ye kyā hai jo yahāñ tashkīl hotā jā rahā hai
nahīñ khultā ye kaisā ḳhauf hai jo lamha lamha
sabhī ke ḳhuun meñ tahlīl hotā jā rahā hai
Top Urdushayar.com