tilism-e-halqa-e-sayyārgāñ meñ kyā rahnā
kisī kī saltanat-e-be-amāñ meñ kyā rahnā
alag jalāyā hai apnā charāġh is ḳhātir
tamām-umr saf-e-dostāñ meñ kyā rahnā
na-jāne chhīn le kab ham se shaah kā kirdār
fareb-e-umr tirī dāstāñ meñ kyā rahnā
ye vaqt lamha-e-maujūd kā tasalsul hai
malāl-e-ḳhvāhish-e-ā.indagāñ meñ kyā rahnā
agar vo ḳhurram-o-ābād hai to phir 'shahzād'
hameñ bhī ab kisī kār-e-ziyāñ meñ kyā rahnā