kisī chashm-e-hunar kī pāsbānī meñ nahīñ rahnā
sitāre ko ziyāda der paanī meñ nahīñ rahnā
ye miTTī kyuuñ mire qadmoñ se lipTī hai ki jab maiñ ne
hamesha ke liye duniyā-e-fānī meñ nahīñ rahnā
kahīñ is dāstāñ meñ ek aisā moḌ aa.egā
jahāñ kirdār ne apnī kahānī meñ nahīñ rahnā
tujhe hamrāh to rakh lūñgā maiñ lekin dil-e-sāda
tirī bābat ziyāda ḳhush-gumānī meñ nahīñ rahnā
mujhe ik aisī duniyā bhī basānī hai jahāñ 'shahzād'
kisī ko bhī kisī kī hukmarānī meñ nahīñ rahnā