lahū meñ Duubā huā pairahan chamaktā hai
sulagtī ret par ik gul-badan chamaktā hai
sitāre bujhte chale jā rahe haiñ ḳhemoñ meñ
bas ik charāġh sar-e-anjuman chamaktā hai
za.iif chun to rahā hai javān lāshoñ ko
magar nigāh meñ ik bāñkpan chamaktā hai
ye kaise phuul jhaḌe shīr-ḳhār hoñToñ se
ki jin ke nuur se saarā chaman chamaktā hai
ye kaun māh-e-munavvar asiir hai 'shahzād'
ye kis kā halqa-e-tauq-o-rasan chamaktā hai