kisī ke aks ko hairān karnā chāhtā huuñ
maiñ sañg-o-ā.ina yak-jān karnā chāhtā huuñ
buland kartā huuñ dast-e-duā ki jaise maiñ
kisī kī zaat par ehsān karnā chāhtā huuñ
bahut haqīr hai lekin tujhe atā kar ke
maiñ dil ko taḳht-e-sulaimān karnā chāhtā huuñ
mujhe ye zindagī dushvār bhī qubūl magar
kahīñ kahīñ ise āsān karnā chāhtā huuñ
maiñ aisī kaun sī shai kho chukā huuñ jis ke evaz
sabhī ko be-sar-o-sāmān karnā chāhtā huuñ