mirī zamīñ tire aflāk se ziyāda hai
mujhe ye ḳhaak har ik ḳhaak se ziyāda hai
nigār-ḳhāna-e-duniyā mujhe darīda libās
tirī atā-shuda poshāk se ziyāda hai
shikasta jism alag chiiz hai magar tirā zulm
kahāñ mire dil-e-be-bāk se ziyāda hai
kahānī-kār tujhe kyā ḳhabar ye shahr dukhī
tire fasāna-e-ġham-nāk se ziyāda hai
maiñ bujh rahā huuñ magar merī raushnī 'shahzād'
charāġh-e-ḳhema-e-idrāk se ziyāda hai