Zafar Taban

umr-e-abad ka ma-hasal ishq ka daur-e-na-tamam

Zafar Taban

umr-e-abad kā mā-hasal ishq kā daur-e-nā-tamām
haa.e vo mastī-e-sahar haa.e vo be-ḳhudī-e-shām
pahle ma.aal soch leñ ham-safarān-e-sust-gām
merī sarisht meñ nahīñ ḳhvāhish-e-manzil-o-maqām
tā.ir-e-ḳhasta-bāl ko daam bhī kunj-e-āshiyāñ
murġh-e-chaman-navard ko gosha-e-āshiyāñ bhī daam
ab bhī ḳhudā-parast hai dair-o-haram kī qaid meñ
haa.e nigāh-e-nā-rasā haa.e mazāq-e-nā-tamām
kaif-e-nazar kī mastiyāñ ahl-e-nazar se pūchhiye
jaise koī pilā gayā bāda-e-mushk-bū ke jaam
ḳhūbī-o-shān-e-dil-barī ġhamza-e-nāz hī nahīñ
husn meñ vo adā bhī hai jis kā nahīñ hai koī naam
Top Urdushayar.com