nahīñ saaqī kā sāġhar kā qamar kā
sahārā chāhiye terī nazar kā
musāfir kyuuñ na rasta bhuul jaa.eñ
ishāra mil gayā shams-o-qamar kā
kabhī parvāz par thā zo.am ham ko
bharosā ab nahīñ hai bāl-o-par kā
mujhe to chaak kī gardish ne Dhālā
huā hai naam saarā kūza-gar kā
bayāñ kab raushnī maiñ kar sakūñgī
jo qissa muḳhtasar hai raat bhar kā