Nazeer Mohsin

umanD rahi hain ghaTaen ki zulf barham hai

Nazeer Mohsin

umañD rahī haiñ ghaTā.eñ ki zulf barham hai
chhalak rahā hai jo ḳhum hai ki aañkh pur-nam hai
nashāt-e-zīst mayassar nahīñ to kyā shikva
mujhe hayāt se baḌh kar hayāt kā ġham hai
phir aaj gardish-e-daurāñ se maat khaa.ī hai
bisāt-e-dil hī ulaT do ki hausla kam hai
Thahar na jaa.e kahīñ nabz-e-gardish-e-daurāñ
tirī nigāh-e-karam kā kuchh aur aalam hai
na shor-e-naġhma na raqs-e-subū na ḳhanda-e-gul
chaman meñ aaj nigār-e-chaman kā mātam hai
Top Urdushayar.com