Nazeer Mohsin

faza-e-lala-o-gul mein wo tazgi na rahi

Nazeer Mohsin

fazā-e-lāla-o-gul meñ vo tāzgī na rahī
vo kyā ga.e ki bahāroñ meñ dilkashī na rahī
qadam qadam pe haiñ chhā.e hue añdhere se
lahū ke diip jalāo ki raushnī na rahī
mizāj-e-ishq ne ādāb-e-husn apnā.e
dayār-e-ishq meñ vo rasm-e-bandagī na rahī
mire ḳhulūs-e-vafā se abas shikāyat hai
nigāh-e-nāz meñ bhī shān-e-dilbarī na rahī
chamak uThā hai tirī yaad meñ harīm-e-ḳhayāl
shab-e-firāq fazāoñ meñ tīrgī na rahī
tirī nigāh-e-karam zindagī sañvār ga.ī
jahān-e-dil meñ vo pahlī sī barhamī na rahī
chalo ki halqa-e-dār-o-rasan kī baat kareñ
fasāna-e-gul-o-bulbul meñ dilkashī na rahī
Top Urdushayar.com