kahīñ Thahar ke na rah jaa.eñ dhaḌkaneñ dil kī
mizāj-e-dost hai āmāda barhamī ke liye
nashāt-e-zīst mayassar nahīñ to kyā ġham hai
ġham-e-hayāt hī kaafī hai zindagī ke liye
bahār-e-nau ne tabassum guloñ se chhīn liyā
chaman meñ phuul taraste haiñ ik hañsī ke liye