āvāra bhaTaktā rahā paiġhām kisī kā
maktūb kisī aur kā thā naam kisī kā
hai ek hī lamha jo kahīñ vasl kahīñ hijr
taklīf kisī ke liye ārām kisī kā
kuchh logoñ ko ruḳhsat bhī kiyā kartī hai zālim
rasta bhī takā kartī hai ye shaam kisī kā
ik qahr huā kartī hai ye mahfil-e-mai hai bhī
jab hoñT kisī aur kā ho jaam kisī kā
muddat huī Duube hue ḳhvāboñ kā safīna
maujoñ pe chamaktā hai magar naam kisī kā