Ain Tabish

ji rahe hain aafiyat mein to hunar KHwabon ka hai

Ain Tabish

Sasaram, Bihar, India

1958
jī rahe haiñ āfiyat meñ to hunar ḳhvāboñ kā hai
ab bhī lagtā hai ki ye saarā safar ḳhvāboñ kā hai
jī lagā rakkhā hai yuuñ ta.abīr ke auhām se
zindagī kyā hai miyāñ bas ek ghar ḳhvāboñ kā hai
raat chaltī rahtī hai aur jaltā rahtā hai charāġh
ek bujhtā hai to phir naqsh-e-digar ḳhvāboñ kā hai
rañg bāzār-e-ḳhirad kā aur ye merā junūñ
ik sitāra gumbad-e-aflāk par ḳhvāboñ kā hai
raat kā dariyā aur us meñ ek tūfān-e-muhīb
jāgnā hai der tak ye bhī asar ḳhvāboñ kā hai
varna kaT jaate haiñ roz o shab zamāne kī tarah
jo bhī thoḌā yā bahut samjho to Dar ḳhvāboñ kā hai
Top Urdushayar.com