Ain Tabish

wahi junun ki soKHta-jaani wahi fusun afsanon ka

Ain Tabish

Sasaram, Bihar, India

1958
vahī junūñ kī soḳhta-jānī vahī fusūñ afsānoñ kā
uḌā uḌā sā bujhā bujhā sā rañg vahī dīvānoñ kā
dariyā to mānūs hai ashk-lahū kī ḳhud-sar maujoñ se
dasht tujhe ma.alūm hai saarā qissa in hairānoñ kā
chāhat-bhar ummīd rakhī hai aur rastoñ-bhar pā-mardī
durveshoñ ke chāl-chalan meñ rañg hai sab sultānoñ kā
abhī nahīñ to ā.inda ham ḳhaak uḌāne ā.eñge
kaun sā kaam rukā jaatā hai faqīroñ be-sāmānoñ kā
tū jo is duniyā kī ḳhātir apnā-āp gañvātā hai
ai dil-e-man ai mere musāfir kaam hai ye nā-dānoñ kā
Top Urdushayar.com