Ain Tabish

ghani siyah zulf badliyon si bila sabab mujh mein jagti hai

Ain Tabish

Sasaram, Bihar, India

1958
ghanī siyah zulf badliyoñ sī bilā sabab mujh meñ jāgtī hai
vo ḳhvāhish-e-nā-murād ab tak tamām shab mujh meñ jāgtī hai
vo ek bastī jo so ga.ī hai udaas be-nām ho ga.ī hai
ba-harf-o-saut ab bhī chīḳhtī hai ba-chashm-o-lab mujh meñ jāgtī hai
tire ḳhayāloñ kī mamlikat ke tamām asnām gir chuke haiñ
bas ik tamannā-e-kāfirāna bas ik talab mujh meñ jāgtī hai
maiñ us ghaḌī apne aap kā sāmnā bhī karne se bhāgtā huuñ
vo ziina ziina utarne vaalī shabīh jab mujh meñ jāgtī hai
is ik nigah meñ maiñ kab huuñ larzāñ use bhī is kī ḳhabar nahīñ hai
maiñ ḳhud bhī is baat ko nahīñ jāntā vo kab mujh meñ jāgtī hai
Top Urdushayar.com