hayāt-e-soḳhta-sāmāñ ik isti.āra-e-shām
chamak chamak ke bujhā hai koī sitāra-e-shām
kisī ko fā.eda-e-shām-e-ḳhush-ḳhisāl milā
kisī ke hisse meñ likkhā gayā ḳhasāra-e-shām
bujhā rahe haiñ charāg-e-shaguftagī-e-bahār
samajh chuke haiñ bahut ham bhī ye ishāra-e-shām
isī qadar hai hayāt-o-ajal ke biich kā farq
ye ek dhuup kā dariyā vo ik kināra-e-shām
junūñ kī bazm sajī hai isī ke saa.e meñ
ki ham to girne nahīñ deñge ye manāra-e-shām