merī tanhā.ī ke ejaaz meñ shāmil hai vahī
raqs meñ hai dil-e-dīvāna ki mahfil hai vahī
ye alag baat na vo tamkanat-ārā hai na maiñ
hai chaman bhī vahī aur shor-e-anādil hai vahī
vahī lailā-e-suḳhan ab bhī sarāpā-e-tilism
merī jaañ ab bhī vahī hai ki mirā dil hai vahī
dasht-e-hairat meñ vahī merā junūñ mahv-e-ḳhirām
aa ke dekho ki yahāñ garmi-e-mahfil hai vahī
us meñ jo Duub gayā paar utar jā.egā
mauj-dar-mauj vo dariyā hai to sāhil hai vahī
aaj bhī us ke mire biich hai duniyā haa.il
aaj bhī us ke mire biich kī mushkil hai vahī