Ain Tabish

KHaksari thi ki bin dekhe hi hum KHak hue

Ain Tabish

Sasaram, Bihar, India

1958
ḳhāksārī thī ki bin dekhe hī ham ḳhaak hue
aur kabhī mārka-e-fat.h-o-zafar dekh na paa.e
us ne dekhā hai to phir dekhnā kyā ho jaa.e
dekhte rahnā hai zālim ko idhar dekh na paa.e
be-hunar dekh na sakte the magar dekhne aa.e
dekh sakte the magar ahl-e-hunar dekh na paa.e
ho ga.e ḳhvāhish-e-nazzāra se be-ḳhud itne
dekhnā chāhte the us ko magar dekh na paa.e
kab use lauT ke dekheñge ye dekhā jaa.e
ham ne duniyā to bahut dekh lī ghar dekh na paa.e
log jab dekhne par aa.e to itnā dekhā
aañkh pathrā ga.ī aur had-e-nazar dekh na paa.e
vo bhī kyā dekhnā thā dekhne vaale bole
jalva har-chand rahā pesh-e-nazar dekh na paa.e
diip jalte rahe tāqoñ meñ ujālā na huā
aañkh pāband-e-tahayyur thī udhar dekh na paa.e
ye tayaqqun nahīñ hotā thā kidhar dekh sake
ye ta.ayyun nahīñ hotā thā kidhar dekh na paa.e
vo taġhāful thā ki us ne hameñ dekhā hī nahīñ
vo tasāhul thā ki ham us kī nazar dekh na paa.e
is qadar tez chalī ab ke havā-e-nā-būd
chaah kar shahr-e-tamannā kā khañDar dekh na paa.e
yuuñ huā dil-zadgāñ lauT ga.e āḳhir-e-shab
raat to jaag ke kaaTī thī sahar dekh na paa.e
kis ne dekhī hai ujāloñ se sulagtī huī raat
aur jo dekh sake ḳhvāb-e-sahar dekh na paa.e
Top Urdushayar.com