Ain Tabish

bazm Khaali nahin mehman nikal aate hain

Ain Tabish

Sasaram, Bihar, India

1958
bazm ḳhālī nahīñ mehmān nikal aate haiñ
kuchh to afsāne mirī jaan nikal aate haiñ
roz ik marg kā aalam bhī guzartā hai yahāñ
roz jiine ke bhī sāmān nikal aate haiñ
sochtā huuñ par-e-parvāz sameTūñ lekin
kitne bhūle hue paimān nikal aate haiñ
yaad ke so.e hue qāfile jaag uThte haiñ
ḳhvāb ke kuchh na.e unvān nikal aate haiñ
baiThnā chāhtī hai thak ke jo vahshat apnī
kitne hī dasht-o-bayābān nikal aate haiñ
isti.āre haiñ jo āñkhoñ se chhalak paḌte haiñ
kitne hī ashk ke dīvān nikal aate haiñ
ik zarā chain bhī lete nahīñ 'tābish'-sāhab
mulk-e-ġham se na.e farmān nikal aate haiñ
Top Urdushayar.com