Ain Tabish

ghubar-e-jahan mein chhupe ba-kamalon ki saf dekhta hun

Ain Tabish

Sasaram, Bihar, India

1958
ġhubār-e-jahāñ meñ chhupe bā-kamāloñ kī saf dekhtā huuñ
maiñ ahd-e-guzishta ke āshuftagāñ kī taraf dekhtā huuñ
maiñ sar ko chhupāne se pahle jahāñ kā hadaf dekhtā huuñ
mahakte hue nek phūloñ ko ḳhanjar-ba-kaf dekhtā huuñ
hai andar talak ek neza gulū maiñ kār-e-vazū meñ
to is haao meñ maiñ kahāñ par huuñ kis kī taraf dekhtā huuñ
zamāne kī ghāteñ kitāboñ kī bātoñ ko jhuTlā rahī haiñ
maiñ hairat kā maarā tamāshā.i-e-iz o sharaf dekhtā huuñ
panah mil na paa.ī ḳhayāl-e-ḳhudā meñ jamāl-e-ḳhudī meñ
maiñ is bebasī meñ pareshān su-e-najaf dekhtā huuñ
Top Urdushayar.com